Thokaron ki shai parastish ki nazar tak le gae
Thokaroñ kī shai parastish kī nazar tak le ga.e
ham tire kūche ke ik patthar ko ghar tak le ga.e
chhoḌ kar jaate rahe sab kārvāñ vaale magar
rāste hī ham-safar nikle jo ghar tak le ga.e
apne hī maqtūl Thahre apne hī qātil bane
apne hī hāthoñ se ham kashtī bhañvar tak le ga.e
shaam hī tak thā sukūt-e-qabl-e-tūfāñ phir na pūchh
kaise kaise ham charāġh-e-shab sahar tak le ga.e
TūTtā kab tak na āḳhir aise taa.ir kā ġhurūr
noch kar sayyād jis ke bāl-o-par tak le ga.e
Thokaron ki shai parastish ki nazar tak le gae
hum tere kuche ke ek patthar ko ghar tak le gae
chhoD kar jate rahe sab karwan wale magar
raste hi ham-safar nikle jo ghar tak le gae
apne hi maqtul Thahre apne hi qatil bane
apne hi hathon se hum kashti bhanwar tak le gae
sham hi tak tha sukut-e-qabl-e-tufan phir na puchh
kaise kaise hum charagh-e-shab sahar tak le gae
TuTta kab tak na aaKHir aise tair ka ghurur
noch kar sayyaad jis ke baal-o-par tak le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.