Thukra ke sab ko teri tamanna kare koi
Thukrā ke sab ko terī tamanna kare koī
tū bhī na mil sake to batā kyā kare koī
itnā muhāl bhī to nahīñ hai ilāj-e-ġham
ik baar maut kī bhī tamanna kare koī
shāyad nikāl duuñ maiñ tirī yaad zehn se
pahle tirā javāb to paidā kare koī
nisbat nahīñ kisī ko kisī se kisī tarah
phir bhī kisī ko ġhair na samjhā kare koī
muddat se luT rahā huuñ isī intizār meñ
shāyad mire ḳhulūs kā charchā kare koī
'ishrat' mire ḳhulūs kā anjām dekh kar
ab kis se dostī kī tamanna kare koī
Thukra ke sab ko teri tamanna kare koi
tu bhi na mil sake to bata kya kare koi
itna muhaal bhi to nahin hai ilaj-e-gham
ek bar maut ki bhi tamanna kare koi
shayad nikal dun main teri yaad zehn se
pahle tera jawab to paida kare koi
nisbat nahin kisi ko kisi se kisi tarah
phir bhi kisi ko ghair na samjha kare koi
muddat se luT raha hun isi intizar mein
shayad mere KHulus ka charcha kare koi
'ishrat' mere KHulus ka anjam dekh kar
ab kis se dosti ki tamanna kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.