tifl ne kuchh bhi nahin socha mila kar likh diya
tifl ne kuchh bhi nahin socha mila kar likh diya
ruKHsaar Nazimabadi
MORE BYruKHsaar Nazimabadi
tifl ne kuchh bhī nahīñ sochā milā kar likh diyā
zindagī aur maut ko bilkul barābar likh diyā
pahle to ik kāġhazī kashtī banā.ī aur phir
paar jaane ke liye us par muqaddar likh diyā
kal jahāñ par dil likhā thā vo jagah kamzor thī
maiñ ne dil kaaTā vahāñ se aur patthar likh diyā
mere hāthoñ meñ mashaqqat kī lakīreñ khīñch kar
jaane kyā sochā ki māthe par suḳhanvar likh diyā
jab savāl aayā ki ik mazmūn shā'ir par likheñ
to javāban aman kā shā'ir payambar likh diyā
january tā june kī mehnat mashaqqat ne janāb
vaqt se pahle hī chehre par december likh diyā
zindagī tere ta'āruf meñ bhalā aur kyā likhūñ
maiñ ne to har vāqi'a har ek manzar likh diyā
kar rahe the apnī apnī dāstāneñ sab raqam
ek jogī ne to kuuze meñ samundar likh diyā
tifl ne kuchh bhi nahin socha mila kar likh diya
zindagi aur maut ko bilkul barabar likh diya
pahle to ek kaghazi kashti banai aur phir
par jaane ke liye us par muqaddar likh diya
kal jahan par dil likha tha wo jagah kamzor thi
main ne dil kaTa wahan se aur patthar likh diya
mere hathon mein mashaqqat ki lakiren khinch kar
jaane kya socha ki mathe par suKHanwar likh diya
jab sawal aaya ki ek mazmun sha'ir par likhen
to jawaban aman ka sha'ir payambar likh diya
january ta june ki mehnat mashaqqat ne janab
waqt se pahle hi chehre par december likh diya
zindagi tere ta'aruf mein bhala aur kya likhun
main ne to har waqi'a har ek manzar likh diya
kar rahe the apni apni dastanen sab raqam
ek jogi ne to kuze mein samundar likh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.