tir barse kabhi KHanjar aae
tiir barse kabhī ḳhanjar aa.e
ye maqāmāt bhī aksar aa.e
shahr meñ aag lagī hai apne
jo bhī aa.e vo sañbhal kar aa.e
phir tabāhī kī taraf hai duniyā
phir zarūrat hai payambar aa.e
vo to rahzan ke bhī rahzan nikle
ham to samjhe the ki rahbar aa.e
shahr meñ jab koī hangāma huā
log kuchh bhes badal kar aa.e
aap chup rah ke bhale ban baiThe
saare ilzām hamīñ par aa.e
tir barse kabhi KHanjar aae
ye maqamat bhi aksar aae
shahr mein aag lagi hai apne
jo bhi aae wo sanbhal kar aae
phir tabahi ki taraf hai duniya
phir zarurat hai payambar aae
wo to rahzan ke bhi rahzan nikle
hum to samjhe the ki rahbar aae
shahr mein jab koi hangama hua
log kuchh bhes badal kar aae
aap chup rah ke bhale ban baiThe
sare ilzam hamin par aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.