tir chaDhte kaman dekhe hain
tiir chaḌhte kamān dekhe haiñ
jaane kitne gumān dekhe haiñ
mushkileñ badliyoñ ke jaisī haiñ
ham ne to āsmān dekhe haiñ
ghar banāne meñ 'umr lagtī hai
ghar meñ bante makān dekhe haiñ
tum jise paas kar nahīñ sakte
ham ne vo imtihān dekhe haiñ
shohrateñ 'umr bhar nahīñ rahtīñ
zindagī ke Dhalān dekhe haiñ
jo taraqqī meñ saath rahte haiñ
aise bhī mehrbān dekhe haiñ
khaTkhaTāyā gayā hai dar itnā
dastakoñ ke nishān dekhe haiñ
fā.ede ko 'abhay' siyāsat meñ
un ke badle bayān dekhe haiñ
tir chaDhte kaman dekhe hain
jaane kitne guman dekhe hain
mushkilen badliyon ke jaisi hain
hum ne to aasman dekhe hain
ghar banane mein 'umr lagti hai
ghar mein bante makan dekhe hain
tum jise pas kar nahin sakte
hum ne wo imtihan dekhe hain
shohraten 'umr bhar nahin rahtin
zindagi ke Dhalan dekhe hain
jo taraqqi mein sath rahte hain
aise bhi mehrban dekhe hain
khaTkhaTaya gaya hai dar itna
dastakon ke nishan dekhe hain
faede ko 'abhay' siyasat mein
un ke badle bayan dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.