tir-e-nigah-e-naz ka ghayal jigar nahin
tīr-e-nigāh-e-nāz kā ghāyal jigar nahīñ
dil ḳhāna-e-ḳhudā hai kisī but kā ghar nahīñ
maiñ ne kahā ki maiñ fidā kyā aap par nahīñ
bole vo hañs ke haañ mujhe is kī ḳhabar nahīñ
ummīd hī nahīñ hai ki aa.eñ vo raah par
phūTā nasīb hī mirā jab raah par nahīñ
ulfat kī raah meñ to bhaTaknā zarūr hai
ye raah vo hai jis meñ koī rāhbar nahīñ
insāñ ke dil meñ dair-o-haram meñ kalīsā meñ
vo kaun ghar hai jis meñ tumhārā guzar nahīñ
ye bhī tire jamāl kā adnā jamāl hai
sūraj pe jo Thahartī kisī kī nazar nahīñ
ġham kī kaTī jo raat to rāhat kī sub.h hai
vo shaam shaam kyā hai ki jis kī sahar nahīñ
chhup-chhup ke jab dikhāte ho husn-o-adā-o-nāz
parde se phir nikālte kyoñ apnā sar nahīñ
'sanjar' likhūñ jo naama unheñ le ke jaa.e kaun
apnā to koī rāz-dāñ paiġhāmbar nahīñ
tir-e-nigah-e-naz ka ghayal jigar nahin
dil KHana-e-KHuda hai kisi but ka ghar nahin
main ne kaha ki main fida kya aap par nahin
bole wo hans ke han mujhe is ki KHabar nahin
ummid hi nahin hai ki aaen wo rah par
phuTa nasib hi mera jab rah par nahin
ulfat ki rah mein to bhaTakna zarur hai
ye rah wo hai jis mein koi rahbar nahin
insan ke dil mein dair-o-haram mein kalisa mein
wo kaun ghar hai jis mein tumhaara guzar nahin
ye bhi tere jamal ka adna jamal hai
suraj pe jo Thaharti kisi ki nazar nahin
gham ki kaTi jo raat to rahat ki subh hai
wo sham sham kya hai ki jis ki sahar nahin
chhup-chhup ke jab dikhate ho husn-o-ada-o-naz
parde se phir nikalte kyon apna sar nahin
'sanjar' likhun jo nama unhen le ke jae kaun
apna to koi raaz-dan paighambar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.