tir jab apni kamanon se nikal jate hain
tiir jab apnī kamānoñ se nikal jaate haiñ
kuchh parinde bhī uḌānoñ se nikal jaate haiñ
jaane kis raah pe kuchh bhuuk se sahme bachche
raat ko apne makānoñ se nikal jaate haiñ
zarf kī baat na kar phuuT paḌeñ to laave
ḳhud pahāḌoñ ke dahānoñ se nikal jaate haiñ
ham bhī kyā log haiñ ik ghar ko banāne ke liye
kis qadar duur gharānoñ se nikal jaate haiñ
zabt miT jaa.e to alfāz baġhāvat ban kar
kitnī ḳhāmosh zabānoñ se nikal jaate haiñ
vo to hote haiñ faqat vaqt-guzārī ke liye
log jo yaad ke ḳhānoñ se nikal jaate haiñ
kitne nādān haiñ jo log nazar se gir kar
dil ke mahfūz ḳhazānoñ se nikal jaate haiñ
tir jab apni kamanon se nikal jate hain
kuchh parinde bhi uDanon se nikal jate hain
jaane kis rah pe kuchh bhuk se sahme bachche
raat ko apne makanon se nikal jate hain
zarf ki baat na kar phuT paDen to lawe
KHud pahaDon ke dahanon se nikal jate hain
hum bhi kya log hain ek ghar ko banane ke liye
kis qadar dur gharanon se nikal jate hain
zabt miT jae to alfaz baghawat ban kar
kitni KHamosh zabanon se nikal jate hain
wo to hote hain faqat waqt-guzari ke liye
log jo yaad ke KHanon se nikal jate hain
kitne nadan hain jo log nazar se gir kar
dil ke mahfuz KHazanon se nikal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.