tir ka Dar hai aur na KHanjar ka
tiir kā Dar hai aur na ḳhanjar kā
aadmī ho gayā hai patthar kā
jis ne nazroñ se kar diyā ghā.il
dil hai dīvāna us fusūñ-gar kā
dil ke zaḳhmoñ ko bhar gayā mere
hai bahut shukriya rafūgar kā
ik mohabbat kī ye mohabbat thī
ban gayā taaj sang-e-marmar kā
jis ko chāhā nahīñ milā ham ko
kis se shikva kareñ muqaddar kā
zindagī kitnī ḳhushnumā hogī
zulm kam ho agar sitamgar kā
mere dil ko sukūn mil jaa.e
saath terā mile jo pal-bhar kā
jaao jā kar pata karo ye 'taqī'
haal kaisā hai mere dilbar kā
tir ka Dar hai aur na KHanjar ka
aadmi ho gaya hai patthar ka
jis ne nazron se kar diya ghail
dil hai diwana us fusun-gar ka
dil ke zaKHmon ko bhar gaya mere
hai bahut shukriya rafugar ka
ek mohabbat ki ye mohabbat thi
ban gaya taj sang-e-marmar ka
jis ko chaha nahin mila hum ko
kis se shikwa karen muqaddar ka
zindagi kitni KHushnuma hogi
zulm kam ho agar sitamgar ka
mere dil ko sukun mil jae
sath tera mile jo pal-bhar ka
jao ja kar pata karo ye 'taqi'
haal kaisa hai mere dilbar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.