tir lagta nahin nishane par
tiir lagtā nahīñ nishāne par
aur ilzām hai zamāne par
dil ko itnā bigāḌ rakkhā hai
māntā hī nahīñ manāne par
'aks terā ubhar ke aatā hai
naqsh kuchh bhī kahīñ banāne par
saat janmoñ kā saudā kar baiThī
do 'adad chūḌiyāñ dilāne par
zehn par bebasī yuuñ haavī hai
aur girtā gayā uThāne par
bārhā kuchh na.e kī chāhat hai
moh chhūTe nahīñ purāne par
ek chehre pe luT gayā hai 'punj'
ab kahāñ hosh hai Thikāne par
tir lagta nahin nishane par
aur ilzam hai zamane par
dil ko itna bigaD rakkha hai
manta hi nahin manane par
'aks tera ubhar ke aata hai
naqsh kuchh bhi kahin banane par
sat janmon ka sauda kar baiThi
do 'adad chuDiyan dilane par
zehn par bebasi yun hawi hai
aur girta gaya uThane par
barha kuchh nae ki chahat hai
moh chhuTe nahin purane par
ek chehre pe luT gaya hai 'punj'
ab kahan hosh hai Thikane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.