tir mizhgan ke to abru ki kaman mange hai
tiir mizhgāñ ke to abrū kī kamāñ māñge hai
dil vo aafat hai ki har āfat-e-jāñ māñge hai
kaisā mushkil mirā ġham tarz-e-bayāñ māñge hai
lab pe ban jaa.e jo naġhma vo fuġhāñ māñge hai
terī ḳhātir unheñ dī ḳhunkī-e-shabnam varna
merā har sher to sho.ale kī zabāñ māñge hai
zulm se dab nahīñ saktā mirā azm-e-bebāk
kahīñ faulād bhī patthar se amaañ māñge hai
log bāzār meñ hairat se mujhe dekhe haiñ
sirf ik merā hī dil hai jo ziyāñ māñge hai
ye hamīñ haiñ ki bahar-hāl jiye jaate haiñ
un kā maarā huā paanī na yahāñ māñge hai
zehn-o-dil pusht-e-ḳhamīda haiñ yahāñ yāroñ ke
aur mirā husn-e-suḳhan fahm-e-javāñ māñge hai
tir mizhgan ke to abru ki kaman mange hai
dil wo aafat hai ki har aafat-e-jaan mange hai
kaisa mushkil mera gham tarz-e-bayan mange hai
lab pe ban jae jo naghma wo fughan mange hai
teri KHatir unhen di KHunki-e-shabnam warna
mera har sher to shoale ki zaban mange hai
zulm se dab nahin sakta mera azm-e-bebak
kahin faulad bhi patthar se aman mange hai
log bazar mein hairat se mujhe dekhe hain
sirf ek mera hi dil hai jo ziyan mange hai
ye hamin hain ki bahar-haal jiye jate hain
un ka mara hua pani na yahan mange hai
zehn-o-dil pusht-e-KHamida hain yahan yaron ke
aur mera husn-e-suKHan fahm-e-jawan mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.