tir-o-kaman ke sath na tegh-o-tabar ke sath

tir-o-kaman ke sath na tegh-o-tabar ke sath
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
tīr-o-kamāñ ke saath na teġh-o-tabar ke saath
ham jang ḳhālī haath laḌe haiñ jigar ke saath
dil bhī udaas udaas hai dīvār-o-dar ke saath
lipTī haiñ ārzūeñ tirī rah-guzar ke saath
mansūb terī yaad hai dīvār-o-dar ke saath
phir kyoñ na ho lagāv mujhe apne ghar ke saath
bolī koī lagā.e to mehr-o-ḳhulūs kī
ham ḳhud ko bech deñge matā’-e-hunar ke saath
ab dekhiye vo ā.eñge yā maut aa.egī
bāñdhī hai dil ne shart charāġh-e-sahar ke saath
ġhusse se laal ho gayā sūraj ye dekh kar
shabnam ulajh rahī thī nasīm-e-sahar ke saath
mushkil meñ jab paḌoge to ḳhud jaan jāoge
ahbāb pesh aate haiñ kis kis hunar ke saath
sāhil pe dam-ba-ḳhud thī tamāshā.iyoñ kī bhiiḌ
kashtī hamārī khel rahī thī bhañvar ke saath
aage kisī ke haath pasārā nahīñ kabhī
rahte haiñ muflisī meñ bhī ham karr-o-far ke saath
sachchā.ī sāmne nahīñ aatī 'avām ke
hotī hai chheḌ-chhāḌ hamesha ḳhabar ke saath
āsāñ nahīñ hai mā'raka-e-zindagī 'shakīl'
dastār bhī sañbhālnī paḌtī hai sar ke saath
tir-o-kaman ke sath na tegh-o-tabar ke sath
hum jang KHali hath laDe hain jigar ke sath
dil bhi udas udas hai diwar-o-dar ke sath
lipTi hain aarzuen teri rah-guzar ke sath
mansub teri yaad hai diwar-o-dar ke sath
phir kyon na ho lagaw mujhe apne ghar ke sath
boli koi lagae to mehr-o-KHulus ki
hum KHud ko bech denge mata’-e-hunar ke sath
ab dekhiye wo aaenge ya maut aaegi
bandhi hai dil ne shart charagh-e-sahar ke sath
ghusse se lal ho gaya suraj ye dekh kar
shabnam ulajh rahi thi nasim-e-sahar ke sath
mushkil mein jab paDoge to KHud jaan jaoge
ahbab pesh aate hain kis kis hunar ke sath
sahil pe dam-ba-KHud thi tamashaiyon ki bhiD
kashti hamari khel rahi thi bhanwar ke sath
aage kisi ke hath pasara nahin kabhi
rahte hain muflisi mein bhi hum karr-o-far ke sath
sachchai samne nahin aati 'awam ke
hoti hai chheD-chhaD hamesha KHabar ke sath
aasan nahin hai ma'raka-e-zindagi 'shakil'
dastar bhi sanbhaalni paDti hai sar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.