tir uske to nishanon se bahakte kam hain
tiir us ke to nishānoñ se bahakte kam haiñ
aur lagte haiñ jinheñ vo bhī sisakte kam haiñ
Tuut jaatī haiñ havāoñ meñ bhī shāḳheñ un kī
saḳht hote haiñ shajar jo vo lachakte kam haiñ
zāhirī husn-o-nazākat pe na jaao logo
phuul ḳhush-rang jo hote haiñ mahakte kam haiñ
shaam ko haare thake lauTte khetoñ se kisān
gaañv ko tez bhī chalte haiñ to thakte kam haiñ
adh-bhare jaam hī rakhte haiñ chhalakne kā hunar
jo huā karte haiñ labrez chhalakte kam haiñ
yuuñ to manzil pe pahuñch jaate haiñ sab hī lekin
rahnumā Thiik ho to log bhaTakte kam haiñ
tir us ke to nishanon se bahakte kam hain
aur lagte hain jinhen wo bhi sisakte kam hain
Tut jati hain hawaon mein bhi shaKHen un ki
saKHt hote hain shajar jo wo lachakte kam hain
zahiri husn-o-nazakat pe na jao logo
phul KHush-rang jo hote hain mahakte kam hain
sham ko haare thake lauTte kheton se kisan
ganw ko tez bhi chalte hain to thakte kam hain
adh-bhare jam hi rakhte hain chhalakne ka hunar
jo hua karte hain labrez chhalakte kam hain
yun to manzil pe pahunch jate hain sab hi lekin
rahnuma Thik ho to log bhaTakte kam hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.