tira-baKHti jo muqaddar ho jae
tīra-baḳhtī jo muqaddar ho jaa.e
phuul sā jism bhī patthar ho jaa.e
ashk ruk jaa.e to āñkheñ be-nūr
aur Dhal jaa.e to gauhar ho jaa.e
ruuh sahrā kī tarah pyāsī hai
chashm-e-be-āb samundar ho jaa.e
rauzan-e-shahr pe āñkheñ haiñ dharī
ai ḳhudā vā koī manzar ho jaa.e
ishq duniyā bhī ajab duniyā hai
hijr jo kaaTe payambar ho jaa.e
daulat-e-chashm-e-karam milte hī
taaj vaalā bhī gadāgar ho jaa.e
ishq kī lai pe haiñ raqsāñ ham tum
kaun kab jaane qalandar ho jaa.e
tira-baKHti jo muqaddar ho jae
phul sa jism bhi patthar ho jae
ashk ruk jae to aankhen be-nur
aur Dhal jae to gauhar ho jae
ruh sahra ki tarah pyasi hai
chashm-e-be-ab samundar ho jae
rauzan-e-shahr pe aankhen hain dhari
ai KHuda wa koi manzar ho jae
ishq duniya bhi ajab duniya hai
hijr jo kaTe payambar ho jae
daulat-e-chashm-e-karam milte hi
taj wala bhi gadagar ho jae
ishq ki lai pe hain raqsan hum tum
kaun kab jaane qalandar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.