tira-baKHti tang-dasti sab miTa sakta hun main
tīra-baḳhtī tang-dastī sab miTā saktā huuñ maiñ
apnī duniyā aap chāhūñ to banā saktā huuñ maiñ
gul hī kyā ḳhāroñ kī fasleñ bhī ugā saktā huuñ maiñ
tum agar chāho to ye manzar dikhā saktā huuñ maiñ
mujh ko ye bhī faḳhr hai hāsil charāġh-e-ishq kī
ek lau se saiñkaḌoñ sham.eñ jalā saktā huuñ maiñ
mere paikar ko muzayyan aap kar deñ to abhī
lā.ineñ kuchh khīñch kar ḳhāka banā saktā huuñ maiñ
aap par itlāq hai rū-e-suḳhan ya.anī 'ziyā'
aap farmā.eñ kise apnā banā saktā huuñ maiñ
tira-baKHti tang-dasti sab miTa sakta hun main
apni duniya aap chahun to bana sakta hun main
gul hi kya KHaron ki faslen bhi uga sakta hun main
tum agar chaho to ye manzar dikha sakta hun main
mujh ko ye bhi faKHr hai hasil charagh-e-ishq ki
ek lau se sainkaDon shamen jala sakta hun main
mere paikar ko muzayyan aap kar den to abhi
lainen kuchh khinch kar KHaka bana sakta hun main
aap par itlaq hai ru-e-suKHan yani 'ziya'
aap farmaen kise apna bana sakta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.