tira-baKHti to na badli gardish-e-ayyam se
tīra-baḳhtī to na badlī gardish-e-ayyām se
shaam badlī sub.h se aur sub.h badlī shaam se
tark-e-ulfat kī qasam khā le ġham-e-ayyām se
kaam ye bhī ho nahīñ saktā dil-e-nākām se
kitne armānoñ kā ḳhuuñ thā ye na dekhā ek ne
chand qatre sab ne dekhe jo gire the jaam se
jhilmilā kar bujh ga.e āḳhir ko be-roġhan charāġh
ḳhushk āñkheñ saath kyā detīñ sahar tak shaam se
pārsā.ī kā lahū tak zāhidoñ ne pī liyā
baḌh ke haiñ añgḌā.iyāñ terī chhalakte jaam se
tum kaho dīvāna mujh ko maiñ karūñ takmīl-e-ishq
tum ko matlab naam se hai mujh ko matlab kaam se
sarhad-e-mulk-e-adam par muntazir haiñ suur ke
paañv phailā kar lahad meñ so.eñ kyā ārām se
sub.h-e-ishrat dekhne ko kis sahāre par ji.eñ
ik charāġh ummīd kā thā vo bhī gul hai shaam se
ḳhār-e-ġham chubhte haiñ 'navvāb' aaj jab dil meñ to phir
bistar-e-gul par bhī kyā niiñd aa.egī ārām se
tira-baKHti to na badli gardish-e-ayyam se
sham badli subh se aur subh badli sham se
tark-e-ulfat ki qasam kha le gham-e-ayyam se
kaam ye bhi ho nahin sakta dil-e-nakaam se
kitne armanon ka KHun tha ye na dekha ek ne
chand qatre sab ne dekhe jo gire the jam se
jhilmila kar bujh gae aaKHir ko be-roghan charagh
KHushk aankhen sath kya detin sahar tak sham se
parsai ka lahu tak zahidon ne pi liya
baDh ke hain angDaiyan teri chhalakte jam se
tum kaho diwana mujh ko main karun takmil-e-ishq
tum ko matlab nam se hai mujh ko matlab kaam se
sarhad-e-mulk-e-adam par muntazir hain sur ke
panw phaila kar lahad mein soen kya aaram se
subh-e-ishrat dekhne ko kis sahaare par jien
ek charagh ummid ka tha wo bhi gul hai sham se
KHar-e-gham chubhte hain 'nawwab' aaj jab dil mein to phir
bistar-e-gul par bhi kya nind aaegi aaram se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.