tira-shabi ka daur kahin muKHtasar to ho
tīra-shabī kā daur kahīñ muḳhtasar to ho
jāgeñ alam-nasīb numūd-e-sahar to ho
rāheñ na.ī hoñ raah ke manzar na.e magar
pichhle safar kī āñkhoñ meñ gard-e-safar to ho
jo ik kiran ko sauñp de saarī matā.a-e-shab
aisā koī mizāj-shanās-e-sahar to ho
sāhil ke is sukūt se tang aa chuke haiñ ham
maujoñ ke pech-o-ḳham meñ koī rahguzar to ho
biite dinoñ kī yaad jagā de kabhī kabhī
is shahr-e-ārzū meñ ik aisā khañDar to ho
ye manzil-e-hayāt ke pur-haul rāste
maanā vo rāhbar hai magar mo'atabar to ho
tira-shabi ka daur kahin muKHtasar to ho
jagen alam-nasib numud-e-sahar to ho
rahen nai hon rah ke manzar nae magar
pichhle safar ki aankhon mein gard-e-safar to ho
jo ek kiran ko saunp de sari mataa-e-shab
aisa koi mizaj-shanas-e-sahar to ho
sahil ke is sukut se tang aa chuke hain hum
maujon ke pech-o-KHam mein koi rahguzar to ho
bite dinon ki yaad jaga de kabhi kabhi
is shahr-e-arzu mein ek aisa khanDar to ho
ye manzil-e-hayat ke pur-haul raste
mana wo rahbar hai magar mo'atabar to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.