tirgi mein ek pal ka hi sahaara kar gaya
tirgi mein ek pal ka hi sahaara kar gaya
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
tīrgī meñ ek pal kā hī sahārā kar gayā
vo charāġhoñ kī tarah shab meñ ujālā kar gayā
justujū ḳhvāhish talab hasrat tamannā aarzū
jaate jaate vo sabhī jazboñ ko ThanDā kar gayā
fāsla kuchh bhī nahīñ thā jism-o-jāñ ke darmiyāñ
vo magar us meñ bhī thoḌā fāsla sā kar gayā
ye bahut achchhā kiyā ki pher lī us ne nazar
kam se kam mere yaqīñ ko aur pakkā kar gayā
abr kā vo ek TukḌā thā bahut chhoTā magar
chilchilātī dhuup meñ kuchh der saaya kar gayā
is qadar dushvāriyoñ kā ye baḌā ehsān hai
hādsoñ kā silsila īmān puḳhta kar gayā
ḳhvāb āñkhoñ ko dikhā kar saare manzar le liye
mujh ko bīnā.ī atā kar ke vo andhā kar gayā
maiñ use ilzām duuñ 'mashkūr' ye mumkin nahīñ
vo mere alfāz le kar mujh ko gūñgā kar gayā
tirgi mein ek pal ka hi sahaara kar gaya
wo charaghon ki tarah shab mein ujala kar gaya
justuju KHwahish talab hasrat tamanna aarzu
jate jate wo sabhi jazbon ko ThanDa kar gaya
fasla kuchh bhi nahin tha jism-o-jaan ke darmiyan
wo magar us mein bhi thoDa fasla sa kar gaya
ye bahut achchha kiya ki pher li us ne nazar
kam se kam mere yaqin ko aur pakka kar gaya
abr ka wo ek TukDa tha bahut chhoTa magar
chilchilati dhup mein kuchh der saya kar gaya
is qadar dushwariyon ka ye baDa ehsan hai
hadson ka silsila iman puKHta kar gaya
KHwab aankhon ko dikha kar sare manzar le liye
mujh ko binai ata kar ke wo andha kar gaya
main use ilzam dun 'mashkur' ye mumkin nahin
wo mere alfaz le kar mujh ko gunga kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.