tirgi phir se baDha di jaegi
tīrgī phir se baḌhā dī jā.egī
jab charāġhoñ ko havā dī jā.egī
phuul tanhā baaġh meñ rah jā.eñge
ek din ḳhushbū uḌā dī jā.egī
zinda logoñ se faqat nafrat kareñ
jab mareñge tab duā dī jā.egī
roz bāzāroñ meñ mat jaayā karo
varna phir qīmat ghaTā dī jā.egī
phir taqāze par utar aa.ī zabān
phir magar suulī chaḌhā dī jā.egī
itnā mat sochā karo apne liye
ḳhaak hī to hai uḌā dī jā.egī
sāhiloñ ke ḳhauf se kashtī mirī
bahte dariyā meñ Dubā dī jā.egī
tirgi phir se baDha di jaegi
jab charaghon ko hawa di jaegi
phul tanha bagh mein rah jaenge
ek din KHushbu uDa di jaegi
zinda logon se faqat nafrat karen
jab marenge tab dua di jaegi
roz bazaron mein mat jaya karo
warna phir qimat ghaTa di jaegi
phir taqaze par utar aai zaban
phir magar suli chaDha di jaegi
itna mat socha karo apne liye
KHak hi to hai uDa di jaegi
sahilon ke KHauf se kashti meri
bahte dariya mein Duba di jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.