tirgi shoala-e-nafrat ko hawa deti hai
tīrgī sho.ala-e-nafrat ko havā detī hai
raushnī zauq-e-yaqīñ fikr-e-rasā detī hai
tīrgī bā.is-e-āzār musāfir ke liye
raushnī shoḳhī-e-raftār-e-sabā detī hai
tīrgī sarhad-e-auhām se aage na baḌhī
raushnī qarya-e-shab meñ bhī sadā detī hai
tīrgī rang-e-alāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
raushnī aks-e-shafaq rang-e-hinā detī hai
tīrgī jahl ko rakhtī hai dil-o-jāñ kī tarah
raushnī ilm kī rāhoñ kā pata detī hai
muḳhtasar ye ki shab-e-ġham kī sahar hone tak
raushnī nuur kā ik jaal bichhā detī hai
raushnī sūrat-e-paiġhām-e-sahar hai 'aḳhtar'
raushnī hī sila-e-ahd-e-vafā detī hai
tirgi shoala-e-nafrat ko hawa deti hai
raushni zauq-e-yaqin fikr-e-rasa deti hai
tirgi bais-e-azar musafir ke liye
raushni shoKHi-e-raftar-e-saba deti hai
tirgi sarhad-e-auham se aage na baDhi
raushni qarya-e-shab mein bhi sada deti hai
tirgi rang-e-alamat ke siwa kuchh bhi nahin
raushni aks-e-shafaq rang-e-hina deti hai
tirgi jahl ko rakhti hai dil-o-jaan ki tarah
raushni ilm ki rahon ka pata deti hai
muKHtasar ye ki shab-e-gham ki sahar hone tak
raushni nur ka ek jal bichha deti hai
raushni surat-e-paigham-e-sahar hai 'aKHtar'
raushni hi sila-e-ahd-e-wafa deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.