tirgi Thahregi kab tak raushni ke samne
tīrgī Thahregī kab tak raushnī ke sāmne
sub.h aa.egī na.ī phir zindagī ke sāmne
muḳhtasar sī ḳhvāhishoñ ne ye kabhī sochā na thā
ġham baḌe ho jā.eñge chhoTī ḳhushī ke sāmne
bevafā.ī ko bhī nādānī samajhnā 'ishq thā
dil ne un ko chāhā un kī har kamī ke sāmne
muddatoñ ke baa'd vo kuchh is tarah ham se mile
rū-barū jaise ho koī ajnabī ke sāmne
bhuul kar shikve gile mil jaa.eñ vo shāyad gale
haath apne ham baḌhā leñ be-ruḳhī ke sāmne
tirgi Thahregi kab tak raushni ke samne
subh aaegi nai phir zindagi ke samne
muKHtasar si KHwahishon ne ye kabhi socha na tha
gham baDe ho jaenge chhoTi KHushi ke samne
bewafai ko bhi nadani samajhna 'ishq tha
dil ne un ko chaha un ki har kami ke samne
muddaton ke ba'd wo kuchh is tarah hum se mile
ru-baru jaise ho koi ajnabi ke samne
bhul kar shikwe gile mil jaen wo shayad gale
hath apne hum baDha len be-ruKHi ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.