tiron mein aur talwaron mein kya rakkha hai
tīroñ meñ aur talvāroñ meñ kyā rakkhā hai
aapas kī in paikāroñ meñ kyā rakkhā hai
aa.ī hai ik buḌhiyā phir se suut sañbhāle
jaane ab in bāzāroñ meñ kyā rakkhā hai
ghar ko jab ghar kī sūrat hī mil na sakī ho
phir in puḳhta dīvāroñ meñ kyā rakkhā hai
husn bahut hai jangal meñ bhī vaadī meñ bhī
yahāñ bhalā in gulzāroñ meñ kyā rakkhā hai
bas jhūTī-mūTī ḳhabreñ chhaptī rahtī haiñ
aur bhalā in aḳhbāroñ meñ kyā rakkhā hai
'sāqib' jab buniyād hī saarī kachchī ho to
mazdūroñ aur me.amāroñ meñ kyā rakkhā hai
tiron mein aur talwaron mein kya rakkha hai
aapas ki in paikaron mein kya rakkha hai
aai hai ek buDhiya phir se sut sanbhaale
jaane ab in bazaron mein kya rakkha hai
ghar ko jab ghar ki surat hi mil na saki ho
phir in puKHta diwaron mein kya rakkha hai
husn bahut hai jangal mein bhi wadi mein bhi
yahan bhala in gulzaron mein kya rakkha hai
bas jhuTi-muTi KHabren chhapti rahti hain
aur bhala in aKHbaron mein kya rakkha hai
'saqib' jab buniyaad hi sari kachchi ho to
mazduron aur meamaron mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.