tijarat ke usulon mein rawadari bhi hoti hai
tijārat ke usūloñ meñ ravādārī bhī hotī hai
sabab nuqsān kā nā-tajraba-kārī bhī hotī hai
kitābeñ hī sulā detī haiñ ġhaflat ke añdheroñ meñ
kitāboñ hī se nasl-e-nau meñ bedārī bhī hotī hai
jarā.em-pesha logoñ se koī ḳhush bhī nahīñ rahtā
jarā.em-pesha logoñ kī taraf-dārī bhī hotī hai
ta.ajjub hai vahāñ insāf kī ummīd rakhte ho
jahāñ aksar usūloñ kī ḳharīdārī bhī hotī hai
zarūrat-mand logoñ meñ sabhī saa.il nahīñ hote
faqīroñ jaisī kuchh logoñ meñ ḳhuddārī bhī hotī hai
yahī āñkheñ sarāboñ jaisā manzar pesh kartī haiñ
inhīñ āñkhoñ se ashkoñ kī nadī jaarī bhī hotī hai
kisī ke qahqahoñ par rashk mat karnā 'riyāz' aksar
musalsal hañste rahnā ek bīmārī bhī hotī hai
tijarat ke usulon mein rawadari bhi hoti hai
sabab nuqsan ka na-tajraba-kari bhi hoti hai
kitaben hi sula deti hain ghaflat ke andheron mein
kitabon hi se nasl-e-nau mein bedari bhi hoti hai
jaraem-pesha logon se koi KHush bhi nahin rahta
jaraem-pesha logon ki taraf-dari bhi hoti hai
tajjub hai wahan insaf ki ummid rakhte ho
jahan aksar usulon ki KHaridari bhi hoti hai
zarurat-mand logon mein sabhi sail nahin hote
faqiron jaisi kuchh logon mein KHuddari bhi hoti hai
yahi aankhen sarabon jaisa manzar pesh karti hain
inhin aankhon se ashkon ki nadi jari bhi hoti hai
kisi ke qahqahon par rashk mat karna 'riyaz' aksar
musalsal hanste rahna ek bimari bhi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.