Tik ke baiThe kahan bezar-tabiat humse
Tik ke baiThe kahāñ bezār-tabī.at ham se
chhīn hī le na koī aa ke ye nemat ham se
bar-sar-e-ām ye kahte haiñ ki ham jhūTe haiñ
is bhare shahr meñ zinda hai sadāqat ham se
ham jo mazlūm haiñ ik tarah se zālim haiñ ham
har sitamgār ke baazū meñ hai tāqat ham se
dekh paa.e na to āñkheñ hī bujhā liiñ ham ne
aur kyā chāhtā hai lafz-e-sharāfat ham se
har ghaḌī sar ko hathelī pe sajā.e rakhnā
garmī-e-raunaq-e-bāzār halākat ham se
ya.anī qātil ke liye rahm kā jazba mafqūd
is se baḌh kar nahīñ ho saktī adāvat ham se
ham zamīñ-zād falak-zād nahīñ haiñ phir bhī
fan kī me'rāj pe hai lafz kī hurmat ham se
Tik ke baiThe kahan bezar-tabiat hum se
chhin hi le na koi aa ke ye nemat hum se
bar-sar-e-am ye kahte hain ki hum jhuTe hain
is bhare shahr mein zinda hai sadaqat hum se
hum jo mazlum hain ek tarah se zalim hain hum
har sitamgar ke bazu mein hai taqat hum se
dekh pae na to aankhen hi bujha lin hum ne
aur kya chahta hai lafz-e-sharafat hum se
har ghaDi sar ko hatheli pe sajae rakhna
garmi-e-raunaq-e-bazar halakat hum se
yani qatil ke liye rahm ka jazba mafqud
is se baDh kar nahin ho sakti adawat hum se
hum zamin-zad falak-zad nahin hain phir bhi
fan ki me'raj pe hai lafz ki hurmat hum se
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 357)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.