Tika ke sar mere shane pe so rahi thi wo
Tikā ke sar mire shāne pe so rahī thī vo
jahān-e-ḳhvāb meñ bedār ho rahī thī vo
pahāḌiyoñ ke idhar ratjagoñ kī bastī thī
pahāḌiyoñ ke udhar niiñd bo rahī thī vo
maiñ is liye thā qabīle ke jashn meñ shāmil
ki dushmanoñ kī mohabbat meñ ro rahī thī vo
isī gulāb ke kāñToñ se ḳhvāb laTke the
isī gulāb kī pattī pe so rahī thī vo
mujhe pata nahīñ kyā kyā dikhā.ī us ko diyā
mujhe pata hai magar dekh to rahī thī vo
vo ghaas moḌ ke panchhī banā rahī thī aur
paroñ meñ os ke qatre piro rahī thī vo
nadī meñ tairtī kuchh jugnuoñ kī lāsheñ thiiñ
jab apne jism ke dāġhoñ ko dho rahī thī vo
'mirāsh' terī mohabbat se pahle saarī 'umr
badan se ek thī par man se do rahī thī vo
Tika ke sar mere shane pe so rahi thi wo
jahan-e-KHwab mein bedar ho rahi thi wo
pahaDiyon ke idhar ratjagon ki basti thi
pahaDiyon ke udhar nind bo rahi thi wo
main is liye tha qabile ke jashn mein shamil
ki dushmanon ki mohabbat mein ro rahi thi wo
isi gulab ke kanTon se KHwab laTke the
isi gulab ki patti pe so rahi thi wo
mujhe pata nahin kya kya dikhai us ko diya
mujhe pata hai magar dekh to rahi thi wo
wo ghas moD ke panchhi bana rahi thi aur
paron mein os ke qatre piro rahi thi wo
nadi mein tairti kuchh jugnuon ki lashen thin
jab apne jism ke daghon ko dho rahi thi wo
'mirash' teri mohabbat se pahle sari 'umr
badan se ek thi par man se do rahi thi wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.