tilism-e-KHwab bhi aisa ki TuTta hi nahin
tilism-e-ḳhvāb bhī aisā ki TūTtā hī nahīñ
ġhunūda zehn koī baat sochtā hī nahīñ
vo mere dil kī karāheñ bhī sun rahā hai magar
ḳhafā hai mujh se kuchh aisā ki boltā hī nahīñ
na ban sakī dil-e-ḳhud-sar se aaj tak merī
maiñ koī baat kahūñ merī māntā hī nahīñ
us aadmī ko samajh lo hai zarf se ḳhālī
kisī ko apne muqābil jo toltā hī nahīñ
ḳhud apne ghar jise hāsil hai zindagī kā sukūñ
vo dar-ba-dar kī kabhī ḳhaak chhāntā hī nahīñ
tire baġhair bhī jiinā paḌā to jī lūñgā
maiñ aisī baat kabhī dil meñ sochtā hī nahīñ
tulūa hotā hai jo matl.a-e-fasāhat se
shu.ūr-o-fikr kā sūraj vo Dūbtā hī nahīñ
tilism-e-KHwab bhi aisa ki TuTta hi nahin
ghunuda zehn koi baat sochta hi nahin
wo mere dil ki karahen bhi sun raha hai magar
KHafa hai mujh se kuchh aisa ki bolta hi nahin
na ban saki dil-e-KHud-sar se aaj tak meri
main koi baat kahun meri manta hi nahin
us aadmi ko samajh lo hai zarf se KHali
kisi ko apne muqabil jo tolta hi nahin
KHud apne ghar jise hasil hai zindagi ka sukun
wo dar-ba-dar ki kabhi KHak chhanta hi nahin
tere baghair bhi jina paDa to ji lunga
main aisi baat kabhi dil mein sochta hi nahin
tulua hota hai jo matla-e-fasahat se
shuur-o-fikr ka suraj wo Dubta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.