tilism-e-lab mein kya kuchh hai wo chashm-e-mehrban kya hai
tilism-e-lab meñ kyā kuchh hai vo chashm-e-mehrbāñ kyā hai
abhī se kyā kaheñ zar-ḳhāna-e-dil meñ kahāñ kyā hai
tumhārī kahkashā.eñ kaun sī duniyā kā partav haiñ
yahāñ to chāñd hai bādal hai taare haiñ vahāñ kyā hai
vahāñ bhī kyā sitāre un ke pahlū meñ tarashte haiñ
vahāñ sāz-e-zamāñ kyā hai ram-e-sayyārgāñ kyā hai
abhī vo mai-kada-bar-dosh āñkheñ rū-ba-rū hoñgī
abhī vo hañs ke pūchheñge ki rang-e-mai-kashāñ kyā hai
ye kaisī raushnī miTTī tale karvaT badaltī hai
vo ā.īna to ḳhāKī thā ye aks-e-jāvedāñ kyā hai
vahāñ bhī kyā koī hijr-e-abad-ābād bastā hai
yahāñ to pūchhiye mat sūrat-e-dard-e-nihāñ kyā hai
ye sail-e-hijr tham jaa.e zarā to phir khule shāyad
ki ye rang-e-judā.ī az-karāñ tā-ba-karāñ kyā hai
kisī dariyā kī bāñhoñ ke bulāve aa ga.e varna
hamāre vāste ye vus.at-e-reg-e-ravāñ kyā hai
tilism-e-lab mein kya kuchh hai wo chashm-e-mehrban kya hai
abhi se kya kahen zar-KHana-e-dil mein kahan kya hai
tumhaari kahkashaen kaun si duniya ka partaw hain
yahan to chand hai baadal hai tare hain wahan kya hai
wahan bhi kya sitare un ke pahlu mein tarashte hain
wahan saz-e-zaman kya hai ram-e-sayyargan kya hai
abhi wo mai-kada-bar-dosh aankhen ru-ba-ru hongi
abhi wo hans ke puchhenge ki rang-e-mai-kashan kya hai
ye kaisi raushni miTTi tale karwaT badalti hai
wo aaina to KHaKi tha ye aks-e-jawedan kya hai
wahan bhi kya koi hijr-e-abad-abaad basta hai
yahan to puchhiye mat surat-e-dard-e-nihan kya hai
ye sail-e-hijr tham jae zara to phir khule shayad
ki ye rang-e-judai az-karan ta-ba-karan kya hai
kisi dariya ki banhon ke bulawe aa gae warna
hamare waste ye wusat-e-reg-e-rawan kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.