tilism-e-saya-e-hasrat faza-e-hairani
tilism-e-sāya-e-hasrat fazā-e-hairānī
phir aaj tapne lagī hai hamārī peshānī
ye but bhī Thiik ye tauhīd bhī ye kufr bhī Thiik
kahīñ pe barf kahīñ bhaap vo kahīñ paanī
dhañsā huā kisī banphūl kā koī kāñTā
hamārī ruuh meñ kartā hai ḳhushbū-e-jānī
hazār phuul mere be-dhaḌakte siine par
magar ga.ī na kahīñ do jahāñ kī vīrānī
mujhe na chheḌ maiñ uktā chukā huuñ duniyā se
maiñ apne aap kā mūrakh ḳhud apnā maiñ giyānī
tilism-e-saya-e-hasrat faza-e-hairani
phir aaj tapne lagi hai hamari peshani
ye but bhi Thik ye tauhid bhi ye kufr bhi Thik
kahin pe barf kahin bhap wo kahin pani
dhansa hua kisi banphul ka koi kanTa
hamari ruh mein karta hai KHushbu-e-jaani
hazar phul mere be-dhaDakte sine par
magar gai na kahin do jahan ki virani
mujhe na chheD main ukta chuka hun duniya se
main apne aap ka murakh KHud apna main giyani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.