tilismi shab mein jab KHwabon ke paikar TuT jate hain
tilismī shab meñ jab ḳhvāboñ ke paikar TuuT jaate haiñ
ka.ī ma.asūm afsāne adhūre chhūT jaate haiñ
ġham-e-daurāñ ne mujh se terī yādeñ aisī chhīnī haiñ
ki jaise bhiiḌ meñ maaoñ se bachche chhūT jaate haiñ
havādis kī fazā meñ azm merā saath de kab tak
tanāvar peḌ bhī āñdhī meñ aksar TuuT jaate haiñ
kitāb-e-zindagī kā har varaq is tarah bikhrā hai
ḳhizāñ meñ jis tarah shāḳhoñ se patte TuuT jaate haiñ
kisī nā-mehrbāñ kī yaad hai yuuñ saf.ha-e-dil par
ki jaise naqsh-e-pā giilī zamīñ par chhūT jaate haiñ
'nasīm' is tarah kuchh bikhrī haiñ ab rishtoñ kī zanjīreñ
ki jaise nanhe bachchoñ se khilaune TuuT jaate haiñ
tilismi shab mein jab KHwabon ke paikar TuT jate hain
kai masum afsane adhure chhuT jate hain
gham-e-dauran ne mujh se teri yaaden aisi chhini hain
ki jaise bhiD mein maon se bachche chhuT jate hain
hawadis ki faza mein azm mera sath de kab tak
tanawar peD bhi aandhi mein aksar TuT jate hain
kitab-e-zindagi ka har waraq is tarah bikhra hai
KHizan mein jis tarah shaKHon se patte TuT jate hain
kisi na-mehrban ki yaad hai yun safha-e-dil par
ki jaise naqsh-e-pa gili zamin par chhuT jate hain
'nasim' is tarah kuchh bikhri hain ab rishton ki zanjiren
ki jaise nanhe bachchon se khilaune TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.