tera bimar aisa na-tawan hai
tirā bīmār aisā nā-tavāñ hai
ki tan meñ jaan bhī bār-e-garāñ hai
zi-bas hai josh-e-dāġh-o-bahr-e-girya
samundar aur machhlī to amaañ hai
girā degā tuḌā kar tausan-e-umr
yahī tār-e-nafas kī gar inaañ hai
varaq haiñ rashk-e-aurāq-e-gulistāñ
mirā dīvāñ ba-rang-e-bostāñ hai
ḳharīdār aa ke le jaate haiñ hasrat
mirī bāzār meñ taḳhta dukāñ hai
raqam kartā jo huuñ vasf-e-sar-e-zulf
zabān-e-mār ḳhāma kī zabāñ hai
na parvāne ko itnā bhī jalā sham.a
ye koī dam kā terā mehmāñ hai
charāġh-e-dāġh-e-dil goyā hai ḳhāmosh
mire ghar meñ ye aahoñ kā dhuāñ hai
uThūñ duniyā se maiñ dīvāna kyūñkar
nafas mānind-e-zanjīr-e-girāñ hai
sunā hai naam par dekhā nahīñ 'arsh'
mire nazdīk anqā qadr-dāñ hai
tera bimar aisa na-tawan hai
ki tan mein jaan bhi bar-e-garan hai
zi-bas hai josh-e-dagh-o-bahr-e-girya
samundar aur machhli to aman hai
gira dega tuDa kar tausan-e-umr
yahi tar-e-nafas ki gar inan hai
waraq hain rashk-e-auraq-e-gulistan
mera diwan ba-rang-e-bostan hai
KHaridar aa ke le jate hain hasrat
meri bazar mein taKHta dukan hai
raqam karta jo hun wasf-e-sar-e-zulf
zaban-e-mar KHama ki zaban hai
na parwane ko itna bhi jala shama
ye koi dam ka tera mehman hai
charagh-e-dagh-e-dil goya hai KHamosh
mere ghar mein ye aahon ka dhuan hai
uThun duniya se main diwana kyunkar
nafas manind-e-zanjir-e-giran hai
suna hai nam par dekha nahin 'arsh'
mere nazdik anqa qadr-dan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.