tera firaq bhi qurbat bhi ek masala hai
tirā firāq bhī qurbat bhī ek mas.ala hai
hamāre saath mohabbat bhī ek mas.ala hai
tumhāre shahr meñ dāḳhil hue to yaad aaya
tumhāre shahr se hijrat bhī ek mas.ala hai
tumhāre shahr meñ aa kar rahe to ham pe khulā
hamārī gaañv se nisbat bhī ek mas.ala hai
hameñ kisī ne batāyā thā haath malte hue
zar-o-zamīn bhī aurat bhī ek mas.ala hai
adam vajūd kī chāhat to mas.ala hai magar
adam vajūd se nafrat bhī ek mas.ala hai
hamāre gaañv kī miTTī meñ ḳhvāb ugte haiñ
hamāre gaañv meñ ġhurbat bhī ek mas.ala hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī bebākiyoñ ke pesh-e-nazar
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ ḳhalvat bhī ek mas.ala hai
tumheñ hamāre liye vaqt hī nahīñ miltā
hamāre vāste fursat bhī ek mas.ala hai
tera firaq bhi qurbat bhi ek masala hai
hamare sath mohabbat bhi ek masala hai
tumhaare shahr mein daKHil hue to yaad aaya
tumhaare shahr se hijrat bhi ek masala hai
tumhaare shahr mein aa kar rahe to hum pe khula
hamari ganw se nisbat bhi ek masala hai
hamein kisi ne bataya tha hath malte hue
zar-o-zamin bhi aurat bhi ek masala hai
adam wajud ki chahat to masala hai magar
adam wajud se nafrat bhi ek masala hai
hamare ganw ki miTTi mein KHwab ugte hain
hamare ganw mein ghurbat bhi ek masala hai
KHayal-o-KHwab ki bebakiyon ke pesh-e-nazar
KHayal-o-KHwab mein KHalwat bhi ek masala hai
tumhein hamare liye waqt hi nahin milta
hamare waste fursat bhi ek masala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.