tera gham dil pe ifsha kar rahe hain
tirā ġham dil pe ifshā kar rahe haiñ
so dil se kār-e-duniyā kar rahe haiñ
tujhe ab kyā batā.eñ ham tire ba.ad
ba-nām-e-zīst kyā kyā kar rahe haiñ
hazāroñ rañj pai-dar-pai uThā kar
bas ik ġham kā mudāvā kar rahe haiñ
kuchh aisā hai ġham-e-tanhā.ī dar-pesh
ki ik aalam ko apnā kar rahe haiñ
kabhī jo kaam chāhat se kiye the
unhīñ kā aaj sadma kar rahe haiñ
ye zaḳhm-e-dil salāmat ham isī ko
muqaddar kā sitāra kar rahe haiñ
kisī sūrat jo puurī ho na paa.e
ham ik aisī tamannā kar rahe haiñ
jo karnā chāhte the bil-irāda
vo sab kuchh be-irāda kar rahe haiñ
unhī logoñ ko hai duniyā mayassar
ki jo us se kināra kar rahe haiñ
vahī karne kī hasrat jāñ-gusil hai
ki jo karne kā charchā kar rahe haiñ
tera gham dil pe ifsha kar rahe hain
so dil se kar-e-duniya kar rahe hain
tujhe ab kya bataen hum tere baad
ba-nam-e-zist kya kya kar rahe hain
hazaron ranj pai-dar-pai uTha kar
bas ek gham ka mudawa kar rahe hain
kuchh aisa hai gham-e-tanhai dar-pesh
ki ek aalam ko apna kar rahe hain
kabhi jo kaam chahat se kiye the
unhin ka aaj sadma kar rahe hain
ye zaKHm-e-dil salamat hum isi ko
muqaddar ka sitara kar rahe hain
kisi surat jo puri ho na pae
hum ek aisi tamanna kar rahe hain
jo karna chahte the bil-irada
wo sab kuchh be-irada kar rahe hain
unhi logon ko hai duniya mayassar
ki jo us se kinara kar rahe hain
wahi karne ki hasrat jaan-gusil hai
ki jo karne ka charcha kar rahe hain
- Book : Tabani (Pg. 45)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.