tera gham hai to ye jazbon ki rau mein bah nahin sakta
tirā ġham hai to ye jazboñ kī rau meñ bah nahīñ saktā
kisī ke haq meñ merā dil ġhalat kuchh kah nahīñ saktā
havā achchhī hai us kī aur na paanī us kā achchhā hai
maiñ is shahr-e-munāfiq meñ to ik din rah nahīñ saktā
ye shahr-e-dil nahīñ bastī hai ye fatvā faroshoñ kī
yahāñ apne ḳhudā ko maiñ ḳhudā bhī kah nahīñ saktā
zamīñ sūraj ke chāroñ-samt gardish ab bhī kartī hai
ye sach hai phir bhī maiñ apnī zabāñ se kah nahīñ saktā
palaT kar ik-na-ik din apnī fitrat par vo aa.egā
vo kaT kar apne mehvar se hamesha rah nahīñ saktā
maiñ insāñ huuñ mirī fitrat zamīnī hai miyāñ-'najmī'
bahut din tak sar-e-bām-e-falak maiñ rah nahīñ saktā
tera gham hai to ye jazbon ki rau mein bah nahin sakta
kisi ke haq mein mera dil ghalat kuchh kah nahin sakta
hawa achchhi hai us ki aur na pani us ka achchha hai
main is shahr-e-munafiq mein to ek din rah nahin sakta
ye shahr-e-dil nahin basti hai ye fatwa faroshon ki
yahan apne KHuda ko main KHuda bhi kah nahin sakta
zamin suraj ke chaaron-samt gardish ab bhi karti hai
ye sach hai phir bhi main apni zaban se kah nahin sakta
palaT kar ik-na-ik din apni fitrat par wo aaega
wo kaT kar apne mehwar se hamesha rah nahin sakta
main insan hun meri fitrat zamini hai miyan-'najmi'
bahut din tak sar-e-baam-e-falak main rah nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.