tera gham jab se kam hone laga hai
tirā ġham jab se kam hone lagā hai
hameñ bhī apnā ġham hone lagā hai
ham apne haal se Darne lage haiñ
ki ġham-ḳhvāroñ ko ġham hone lagā hai
hamārī rāstī ke sāmne ab
hamārā qad bhī ḳham hone lagā hai
atā karte haiñ jo ahl-e-tavāzo.a
vo baada ham ko sam hone lagā hai
vajūd-e-ādmī se peshtar hī
sirr-e-ādam qalam hone lagā hai
koī chehra koī naġhma koī jaam
ḳhafā duniyā se dam hone lagā hai
sanam pahle ḳhudā thā ab ḳhudā bhī
tarāshīda sanam hone lagā hai
tera gham jab se kam hone laga hai
hamein bhi apna gham hone laga hai
hum apne haal se Darne lage hain
ki gham-KHwaron ko gham hone laga hai
hamari rasti ke samne ab
hamara qad bhi KHam hone laga hai
ata karte hain jo ahl-e-tawazoa
wo baada hum ko sam hone laga hai
wajud-e-admi se peshtar hi
sirr-e-adam qalam hone laga hai
koi chehra koi naghma koi jam
KHafa duniya se dam hone laga hai
sanam pahle KHuda tha ab KHuda bhi
tarashida sanam hone laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.