Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera harf harf kamal ho mere yar aisi ghazal kaho

Basit Jaleeli

tera harf harf kamal ho mere yar aisi ghazal kaho

Basit Jaleeli

MORE BYBasit Jaleeli

    tirā harf harf kamāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    jo kisī kahnā muhāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    tirī chāhateñ mire vāste na judā kabhī bhī hoñ rāste

    vo junūb ho ki shumāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    maiñ namāz-e-'ishq adā karūñ kabhī bhuul kar na qazā karūñ

    mirā rābta jo bahāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    vo ġhazal bhī ho ho vo giit bhī mirī haar bhī mirī jiit bhī

    vo nidā-e-husn-o-jamāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    mire 'ishq ho vo dāstāñ mirā dard-o-ġham ho mirī fuġhāñ

    mirī hasratoñ malāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    sar-e-shām aaj maiñ so gayā ki vo ḳhvāb jo hai silsila

    tirā merā yūñhī visāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    na kisī ne aisā kahā kabhī na kisī ne aisā sunā kabhī

    na kisī aisā ḳhayāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    vo jo sahn-e-yār meñ din Dhale vo jo ḳhalvatoñ ke haiñ silsile

    mire har javāz Dhaal ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    tire 'ishq meñ yuuñ dhamāl ho mujhe saañs lenā muhāl ho

    mirā ang ang nihāl ho mire yaar aisī ġhazal kaho

    tera harf harf kamal ho mere yar aisi ghazal kaho

    jo kisi ka kahna muhaal ho mere yar aisi ghazal kaho

    teri chahaten mere waste na juda kabhi bhi hon raste

    wo junub ho ki shumal ho mere yar aisi ghazal kaho

    main namaz-e-'ishq ada karun kabhi bhul kar na qaza karun

    mera rabta jo bahaal ho mere yar aisi ghazal kaho

    wo ghazal bhi ho ho wo git bhi meri haar bhi meri jit bhi

    wo nida-e-husn-o-jamal ho mere yar aisi ghazal kaho

    mere 'ishq ki ho wo dastan mera dard-o-gham ho meri fughan

    meri hasraton ka malal ho mere yar aisi ghazal kaho

    sar-e-sham aaj main so gaya ki wo KHwab ka jo hai silsila

    tera mera yunhi visal ho mere yar aisi ghazal kaho

    na kisi ne aisa kaha kabhi na kisi ne aisa suna kabhi

    na kisi ka aisa KHayal ho mere yar aisi ghazal kaho

    wo jo sahn-e-yar mein din Dhale wo jo KHalwaton ke hain silsile

    mere har jawaz ki Dhaal ho mere yar aisi ghazal kaho

    tere 'ishq mein yun dhamal ho mujhe sans lena muhaal ho

    mera ang ang nihaal ho mere yar aisi ghazal kaho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now