tera hi nam kafi hai to ghairon ka bayan kyon ho
tirā hī naam kaafī hai to ġhairoñ kā bayāñ kyoñ ho
na.e kirdār se bojhal ye merī dāstāñ kyoñ ho
tire bhī paañv baḌhte haiñ mirī bāheñ bhī phailī haiñ
to phir ye fāsla itnā hamāre darmiyāñ kyoñ ho
agar hai rāhbar sādiq to koī raah dikhlā.e
jo bhaTke dar-ba-dar aise vo mīr-e-kārvāñ kyoñ ho
ho dil meñ ġham magar pur-nam na ho āñkheñ kabhī terī
chhupā hai dil meñ jo dariyā vo āñkhoñ se ravāñ kyoñ ho
zarā bazm-e-suḳhan dekhe mirā meyār-e-fan logo
diyā hai jo ḳhudā ne fan mujhe vo rā.egāñ kyoñ ho
ka.ī kohsār dard-o-ġham ke duniyā meñ uThāne haiñ
to phir ye hijr kī shab ek mujh par sargirāñ kyoñ ho
ye achchhā hai ki soz-e-ishq meñ chup-chāp jal jaa.eñ
faqat tash.hīr kī ḳhātir 'sahāb' itnā dhuāñ kyoñ ho
tera hi nam kafi hai to ghairon ka bayan kyon ho
nae kirdar se bojhal ye meri dastan kyon ho
tere bhi panw baDhte hain meri bahen bhi phaili hain
to phir ye fasla itna hamare darmiyan kyon ho
agar hai rahbar sadiq to koi rah dikhlae
jo bhaTke dar-ba-dar aise wo mir-e-karwan kyon ho
ho dil mein gham magar pur-nam na ho aankhen kabhi teri
chhupa hai dil mein jo dariya wo aankhon se rawan kyon ho
zara bazm-e-suKHan dekhe mera meyar-e-fan logo
diya hai jo KHuda ne fan mujhe wo raegan kyon ho
kai kohsar dard-o-gham ke duniya mein uThane hain
to phir ye hijr ki shab ek mujh par sargiran kyon ho
ye achchha hai ki soz-e-ishq mein chup-chap jal jaen
faqat tashhir ki KHatir 'sahab' itna dhuan kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.