tera mizaj ho barham ye kab gawara hai
tirā mizāj ho barham ye kab gavārā hai
yahī ḳhushī hai hamārī ki tū hamārā hai
ye chāñd-rāt ye jugnū ye terī yaad kī lau
is ehtimām-e-mohabbat meñ din guzārā hai
jo be-sabab hī kisī or chal paḌe haiñ ham
to zindagī kā bhalā kis taraf ishāra hai
ye kyā huā hai koī faisla nahīñ hotā
ki mere haath meñ jugnū hai yā sitāra hai
ye kaisī vahshat-e-nāyāb muzmar-e-jāñ hai
haiñ paañv raqs meñ jaltā huā sharāra hai
tapish bahut thī tirī yaad kī magar ham ne
tirī hī yaad se mausam zarā sañvārā hai
maiñ dushmanoñ ko kabhī muaaf kar nahīñ paa.ī
magar ḳhudā kī ḳhudā.ī ne dil nikhārā hai
vo kis kamāl se mujh ko badal rahā hai 'ġhazal'
mohabbatoñ kā yahī ek isti.āra hai
tera mizaj ho barham ye kab gawara hai
yahi KHushi hai hamari ki tu hamara hai
ye chand-raat ye jugnu ye teri yaad ki lau
is ehtimam-e-mohabbat mein din guzara hai
jo be-sabab hi kisi or chal paDe hain hum
to zindagi ka bhala kis taraf ishaara hai
ye kya hua hai koi faisla nahin hota
ki mere hath mein jugnu hai ya sitara hai
ye kaisi wahshat-e-nayab muzmar-e-jaan hai
hain panw raqs mein jalta hua sharara hai
tapish bahut thi teri yaad ki magar hum ne
teri hi yaad se mausam zara sanwara hai
main dushmanon ko kabhi muaf kar nahin pai
magar KHuda ki KHudai ne dil nikhaara hai
wo kis kamal se mujh ko badal raha hai 'ghazal'
mohabbaton ka yahi ek istiara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.