tera mizaj takabbur ka shaKHsana tha
tirā mizāj takabbur kā shāḳhsāna thā
ta'alluqāt kā manzar badal hī jaanā thā
ga.e the ham bhī faqat rasm hī nibhāne ko
aur us kā tarz-e-amal bhī muḳhāsamāna thā
kisī ke ūñche dar-o-bām mohtaram the magar
hameñ havā ke liye rāsta banānā thā
ye ḳhaak buġhz-o-adāvat se paak rakhnī thī
zamīn-e-dil pe shajar pyaar kā ugānā thā
maiñ jāntā huuñ use mujh pe e'tibār na thā
agarche mere gavāhoñ meñ ik zamāna thā
ye tū ne tark-e-marāsim kī baat kyoñ chheḌī
hameñ to yuuñ bhī tirā shahr chhoḌ jaanā thā
ka.ī charāġh muñDeroñ pe jal bujhe 'anvar'
use na aanā thā shāyad use na aanā thā
tera mizaj takabbur ka shaKHsana tha
ta'alluqat ka manzar badal hi jaana tha
gae the hum bhi faqat rasm hi nibhane ko
aur us ka tarz-e-amal bhi muKHasamana tha
kisi ke unche dar-o-baam mohtaram the magar
hamein hawa ke liye rasta banana tha
ye KHak bughz-o-adawat se pak rakhni thi
zamin-e-dil pe shajar pyar ka ugana tha
main jaanta hun use mujh pe e'tibar na tha
agarche mere gawahon mein ek zamana tha
ye tu ne tark-e-marasim ki baat kyon chheDi
hamein to yun bhi tera shahr chhoD jaana tha
kai charagh munDeron pe jal bujhe 'anwar'
use na aana tha shayad use na aana tha
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.