tera pindar pahaDon sa pighal jaega
tirā pindār pahāḌoñ sā pighal jā.egā
surḳh dariyā tire sūraj ko nigal jā.egā
tū ne chhīne haiñ samundar se safīne mere
ye talātum tirī maujoñ kā sañbhal jā.egā
Dūbne deñge tujhe aur na milegā sāhil
tū samundar ke talātum pe uchhal jā.egā
kab talak kartā rahegā tū musaḳhḳhar lahreñ
tujh ko ik roz samundar ye nigal jā.egā
vo ḳharīdeñge zamīroñ ko yahāñ saste meñ
vaqt aane pe tirā yaar badal jā.egā
vo bhale chhīn leñ māthe se mire sajdoñ ko
ham ko to nafs se matlab hai nikal jā.egā
padmanī ho yā koī aur hasīñ mūrat ho
jalte sho'loñ meñ ye īmān bahal jā.egā
ai mufakkir tire afkār pa shak hotā hai
tere alfāz se qirtās ye jal jā.egā
jism kī tarh tirī soch bhī murtad hogī
bā’d-az-marg kisī aag meñ jal jā.egā
tujh ko mā'lūm na thā terā vo kāmil īmāñ
chand paisoñ ke liye vo bhī phisal jā.egā
tum ne manshūr bhī parcham kī tarah thāmā hai
terā har ruup isī rang meñ Dhal jā.egā
tera pindar pahaDon sa pighal jaega
surKH dariya tere suraj ko nigal jaega
tu ne chhine hain samundar se safine mere
ye talatum teri maujon ka sanbhal jaega
Dubne denge tujhe aur na milega sahil
tu samundar ke talatum pe uchhal jaega
kab talak karta rahega tu musaKHKHar lahren
tujh ko ek roz samundar ye nigal jaega
wo KHaridenge zamiron ko yahan saste mein
waqt aane pe tera yar badal jaega
wo bhale chhin len mathe se mere sajdon ko
hum ko to nafs se matlab hai nikal jaega
padmani ho ya koi aur hasin murat ho
jalte sho'lon mein ye iman bahal jaega
ai mufakkir tere afkar pa shak hota hai
tere alfaz se qirtas ye jal jaega
jism ki tarh teri soch bhi murtad hogi
ba’d-az-marg kisi aag mein jal jaega
tujh ko ma'lum na tha tera wo kaamil iman
chand paison ke liye wo bhi phisal jaega
tum ne manshur bhi parcham ki tarah thama hai
tera har rup isi rang mein Dhal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.