tera raaz fash kar dun na hua kabhi gawara
tirā raaz faash kar duuñ na huā kabhī gavārā
mujhe aql ne bhī shah dī to junūñ ne bhī ubhārā
tirī mehr ke tasadduq tire qahr par bhī qurbāñ
mujhe ye bhī hai gavārā mujhe vo bhī hai gavārā
ye safīna kis kā Duubā ki taḌap rahī haiñ maujeñ
ye patā chalā ki tūfāñ huā aaj be-sahārā
tirī bazm-e-be-ḳhudī meñ na huī kabhī ḳhabar tak
ye sunā to hai kisī ne mujhe duur se pukārā
mirī be-qarāriyoñ kā asar-e-sahar-chakāñ thā
ki laraz laraz ke Duubā shab-e-hijr par sitārā
mirī ujḌī bazm-e-hastī bhī kabhī sañvar sakegī
maiñ azal se sun rahā huuñ ki tumhīñ ho ālam-ārā
vo shabīh-e-nāz us kī jo hai shāhkār-e-fitrat
ye vahī to hai 'musavvir' jo hai ālam-āshkārā
tera raaz fash kar dun na hua kabhi gawara
mujhe aql ne bhi shah di to junun ne bhi ubhaara
teri mehr ke tasadduq tere qahr par bhi qurban
mujhe ye bhi hai gawara mujhe wo bhi hai gawara
ye safina kis ka Duba ki taDap rahi hain maujen
ye pata chala ki tufan hua aaj be-sahaara
teri bazm-e-be-KHudi mein na hui kabhi KHabar tak
ye suna to hai kisi ne mujhe dur se pukara
meri be-qarariyon ka asar-e-sahar-chakan tha
ki laraz laraz ke Duba shab-e-hijr par sitara
meri ujDi bazm-e-hasti bhi kabhi sanwar sakegi
main azal se sun raha hun ki tumhin ho aalam-ara
wo shabih-e-naz us ki jo hai shahkar-e-fitrat
ye wahi to hai 'musawwir' jo hai aalam-ashkara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.