tera tarz-e-amal barq-e-tapan dekha nahin jata
tirā tarz-e-amal barq-e-tapāñ dekhā nahīñ jaatā
chaman se jā-ba-jā uThtā dhuāñ dekhā nahīñ jaatā
chaman-zāroñ meñ kuchh zāġh-o-zaġhan aise bhī haiñ jin se
hamārā shāḳh-e-gul par āshiyāñ dekhā nahīñ jaatā
ḳhudāvandā uThā le yā basārat chhīn le merī
ki ab mujh se to ye ahd-e-ravāñ dekhā nahīñ jaatā
balā se kuchh natīja ho mirā to faisla ye hai
sadāqat ho to kuchh sūd-o-ziyāñ dekhā nahīñ jaatā
ziyā gar sheriyat meñ san.at-e-īhām aa jaa.e
to phir achchhā-burā husn-e-bayāñ dekhā nahīñ jaatā
tera tarz-e-amal barq-e-tapan dekha nahin jata
chaman se ja-ba-ja uThta dhuan dekha nahin jata
chaman-zaron mein kuchh zagh-o-zaghan aise bhi hain jin se
hamara shaKH-e-gul par aashiyan dekha nahin jata
KHudawanda uTha le ya basarat chhin le meri
ki ab mujh se to ye ahd-e-rawan dekha nahin jata
bala se kuchh natija ho mera to faisla ye hai
sadaqat ho to kuchh sud-o-ziyan dekha nahin jata
ziya gar sheriyat mein sanat-e-iham aa jae
to phir achchha-bura husn-e-bayan dekha nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.