tera yaqin hun main kab se is guman mein tha
tirā yaqīn huuñ maiñ kab se is gumān meñ thā
maiñ zindagī ke baḌe saḳht imtihān meñ thā
paTak ke toḌ diyā jis pe tesha-e-jāñ ko
maiñ jū-e-shīr sā pinhāñ usī chaTān meñ thā
shajar shajar mirī aamad kā muntazir mausam
maiñ barg-e-gul sā havāoñ kī kis uḌaan meñ thā
andherī raat meñ samt-e-sadā pe chhoḌ diyā
havas kā tiir jo is jism kī kamān meñ thā
uThā sakā na maiñ dast-e-tahī se patthar bhī
matā-e-ġhair sā vo kāñch kī dukān meñ thā
ye daur-e-sang-nazar is ko paḌh nahīñ paayā
sahīfa dil kā mirā jaane kis zabān meñ thā
tera yaqin hun main kab se is guman mein tha
main zindagi ke baDe saKHt imtihan mein tha
paTak ke toD diya jis pe tesha-e-jaan ko
main ju-e-shir sa pinhan usi chaTan mein tha
shajar shajar meri aamad ka muntazir mausam
main barg-e-gul sa hawaon ki kis uDan mein tha
andheri raat mein samt-e-sada pe chhoD diya
hawas ka tir jo is jism ki kaman mein tha
uTha saka na main dast-e-tahi se patthar bhi
mata-e-ghair sa wo kanch ki dukan mein tha
ye daur-e-sang-nazar is ko paDh nahin paya
sahifa dil ka mera jaane kis zaban mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.