tere aane ka charcha ho raha hai
tire aane kā charchā ho rahā hai
na-jāne kab se aisā ho rahā hai
simaT jā.uñgā maiñ lamhoñ meñ ik din
mirā har ḳhvāb puurā ho rahā hai
samundar meñ girā hai chāñd aise
ki sāhil tak ujālā ho rahā hai
kisī ḳhāmosh darvāze ke pīchhe
mujhe ma.alūm hai kyā ho rahā hai
na.e pardoñ meñ sab chehre purāne
badalne kā tamāsha ho rahā hai
qayāmat kyā karegī is zamīñ par
qayāmat se ziyāda ho rahā hai
samundar se hamārī dostī hai
so paanī par guzāra ho rahā hai
tere aane ka charcha ho raha hai
na-jaane kab se aisa ho raha hai
simaT jaunga main lamhon mein ek din
mera har KHwab pura ho raha hai
samundar mein gira hai chand aise
ki sahil tak ujala ho raha hai
kisi KHamosh darwaze ke pichhe
mujhe malum hai kya ho raha hai
nae pardon mein sab chehre purane
badalne ka tamasha ho raha hai
qayamat kya karegi is zamin par
qayamat se ziyaada ho raha hai
samundar se hamari dosti hai
so pani par guzara ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.