tere alawa koi dusra mila hi nahin
tire 'alāva koī dūsrā milā hī nahīñ
so tere baa'd bahut der maiñ jiyā hī nahīñ
isī liye to kisī kaam kā nahīñ huuñ maiñ
jo kaam karne kā thā vo kabhī kiyā hī nahīñ
jahān vaale hameñ mast kah rahe haiñ to kyā
ki apnā dard kisī aur se kahā hī nahīñ
hamāre baare meñ kaise tumheñ ḳhabar hotī
tumhāre baa'd zamāne se rābta hī nahīñ
jo merā haal tire baa'd hai kaTe hue harf
batānā chāhtā huuñ koī pūchhtā hī nahīñ
saḌak pe haiñ ki nahīñ haiñ ‘ajīb uljhan hai
hamārī samt koī shaḳhs dekhtā hī nahīñ
bahut se log haiñ lekin ḳhushī se tanhā huuñ
kisī kā saath zamāne mujhe ravā hī nahīñ
isī liye to badan tār-tār hai merā
jo zaḳhm lag gayā 'fā.ez' kabhī siyā hī nahīñ
tere 'alawa koi dusra mila hi nahin
so tere ba'd bahut der main jiya hi nahin
isi liye to kisi kaam ka nahin hun main
jo kaam karne ka tha wo kabhi kiya hi nahin
jahan wale hamein mast kah rahe hain to kya
ki apna dard kisi aur se kaha hi nahin
hamare bare mein kaise tumhein KHabar hoti
tumhaare ba'd zamane se rabta hi nahin
jo mera haal tere ba'd hai kaTe hue harf
batana chahta hun koi puchhta hi nahin
saDak pe hain ki nahin hain ‘ajib uljhan hai
hamari samt koi shaKHs dekhta hi nahin
bahut se log hain lekin KHushi se tanha hun
kisi ka sath zamane mujhe rawa hi nahin
isi liye to badan tar-tar hai mera
jo zaKHm lag gaya 'faez' kabhi siya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.