tere bachchon mein aisi dilkashi malum hoti hai
tire bachchoñ meñ aisī dilkashī mā'lūm hotī hai
ki jaise gul ke ruḳh par tāzgī mā'lūm hotī hai
maiñ sajde meñ jo gir jaatā huuñ madhoshī ke 'ālam meñ
jahāñ vāloñ ko shāyad mai-kashī mā'lūm hotī hai
batā.ūñ kyā ki jab se mujh se nālāñ haiñ vo bad-zan haiñ
bahut rūThī huī ye zindagī mā'lūm hotī hai
tumhāre talḳh lahje se pata chaltā hai ye 'ahmad'
tumheñ mujh se koī nārāzgī mā'lūm hotī hai
tere bachchon mein aisi dilkashi ma'lum hoti hai
ki jaise gul ke ruKH par tazgi ma'lum hoti hai
main sajde mein jo gir jata hun madhoshi ke 'alam mein
jahan walon ko shayad mai-kashi ma'lum hoti hai
bataun kya ki jab se mujh se nalan hain wo bad-zan hain
bahut ruThi hui ye zindagi ma'lum hoti hai
tumhaare talKH lahje se pata chalta hai ye 'ahmad'
tumhein mujh se koi naraazgi ma'lum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.