tere badan ko hawa chhu ke jab bhi aati hai
tire badan ko havā chhū ke jab bhī aatī hai
ġhazal kā koī hasīñ sher gungunātī hai
zamīñ tarāna-e-dozaḳh abhī bhī gaatī hai
na.ī sadī hai ki shahnā.iyāñ bajātī hai
ye aur mere irādoñ ko puḳhta kar degī
jo barq mere nasheman pe dandanātī hai
bujhe charāġh jalānā to mo.ajiza Thahrā
ye dekhiye ki havā kis tarah bujhātī hai
idhar bhī sāñpoñ kī zad par hayāt hai larzāñ
udhar fazā kī ghuTan un kā dil jalātī hai
tirā surāġh na apnā pata na ilm-e-nujūm
na maut aa.ī na kambaḳht niiñd aatī hai
fasād barpā kiyā kis ne phir samundar meñ
bhaḌak ke mauj hare jañgaloñ ko khātī hai
hai 'sarfarāz' taqāzā-e-vaqt bhī ma.alūm
pe vo ravish jo hasīnoñ kā dil lubhātī hai
tere badan ko hawa chhu ke jab bhi aati hai
ghazal ka koi hasin sher gungunati hai
zamin tarana-e-dozaKH abhi bhi gati hai
nai sadi hai ki shahnaiyan bajati hai
ye aur mere iradon ko puKHta kar degi
jo barq mere nasheman pe dandanati hai
bujhe charagh jalana to moajiza Thahra
ye dekhiye ki hawa kis tarah bujhati hai
idhar bhi sanpon ki zad par hayat hai larzan
udhar faza ki ghuTan un ka dil jalati hai
tera suragh na apna pata na ilm-e-nujum
na maut aai na kambaKHt nind aati hai
fasad barpa kiya kis ne phir samundar mein
bhaDak ke mauj hare jangalon ko khati hai
hai 'sarfaraaz' taqaza-e-waqt bhi malum
pe wo rawish jo hasinon ka dil lubhati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.