tere baghair hi ji lun irada tha pahle
tire baġhair hī jī luuñ irāda thā pahle
zarā ye soch ki maiñ kitnā saada thā pahle
isī zamīñ ne diye jaur ke jalā.e bahut
isī zamīñ se ta.alluq ziyāda thā pahle
sitāre lene lage merī bekalī kā hisāb
ye kaisī raah pe maiñ īstāda thā pahle
isī makāñ meñ ghuTan ho rahī hai ab mahsūs
yahī makān bahut hī kushāda thā pahle
vo ek baat jo baa.is huī ta.alluq kī
us ek baat kā karnā i.aada thā pahle
mohabbatoñ ke diye maiñ jalā ke so jā.ūñ
mirā ḳhayāl nahīñ ye irāda thā pahle
chamak-damak vo mirī apne saath le ke gayā
chamaktā jism damaktā labāda thā pahle
'farīd' kartā ta.ayyun maiñ kaise raste kā
na manzileñ thiiñ yahāñ aur na jaada thā pahle
tere baghair hi ji lun irada tha pahle
zara ye soch ki main kitna sada tha pahle
isi zamin ne diye jaur ke jalae bahut
isi zamin se talluq ziyaada tha pahle
sitare lene lage meri bekali ka hisab
ye kaisi rah pe main istada tha pahle
isi makan mein ghuTan ho rahi hai ab mahsus
yahi makan bahut hi kushada tha pahle
wo ek baat jo bais hui talluq ki
us ek baat ka karna iada tha pahle
mohabbaton ke diye main jala ke so jaun
mera KHayal nahin ye irada tha pahle
chamak-damak wo meri apne sath le ke gaya
chamakta jism damakta labaada tha pahle
'farid' karta tayyun main kaise raste ka
na manzilen thin yahan aur na jada tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.