tere baghair main kitna hun be-qarar na puchh
tere baghair main kitna hun be-qarar na puchh
Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
tire baġhair maiñ kitnā huuñ be-qarār na pūchh
bahār-e-gulshan-e-ulfat kā hāl-e-zār na pūchh
gayā hai mere mohalla se jab se badr-e-munīr
hai chashm-e-qalb-e-hazīñ kaisī zaar zaar na pūchh
firāq-e-yār meñ bistar kī ġhair hālat hai
hai kitnā bālish-e-maḳhmal bhī sogvār na pūchh
shikasta qalb pe lagtī hai choT ai hamdam
guzar rahī hai jo dil par vo baar baar na pūchh
nikāl pheñkā hai yādoñ kī laash ko dil se
kahāñ banegā tamannāoñ kā mazār na pūchh
tabīb samjhā thā jis ko thā āstīn kā saañp
shikasta kitnā huā jām-e-e'tibār na pūchh
nashāt-o-aish meñ hamdam hazār milte the
dukhoñ meñ kaun thā sāthī na pūchh yaar na pūchh
jahāñ pe sham-e-falak hai vahīñ pe parvāna
talāsh kar mirī mahfil mirā dayār na pūchh
tere baghair main kitna hun be-qarar na puchh
bahaar-e-gulshan-e-ulfat ka haal-e-zar na puchh
gaya hai mere mohalla se jab se badr-e-munir
hai chashm-e-qalb-e-hazin kaisi zar zar na puchh
firaq-e-yar mein bistar ki ghair haalat hai
hai kitna baalish-e-maKHmal bhi sogwar na puchh
shikasta qalb pe lagti hai choT ai hamdam
guzar rahi hai jo dil par wo bar bar na puchh
nikal phenka hai yaadon ki lash ko dil se
kahan banega tamannaon ka mazar na puchh
tabib samjha tha jis ko tha aastin ka sanp
shikasta kitna hua jam-e-e'tibar na puchh
nashat-o-aish mein hamdam hazar milte the
dukhon mein kaun tha sathi na puchh yar na puchh
jahan pe sham-e-falak hai wahin pe parwana
talash kar meri mahfil mera dayar na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.