tere baghair sukun-o-qarar ko tarse
tire baġhair sukūn-o-qarār ko tarse
bahār meñ bhī ham apnī bahār ko tarse
milā na chain kisī kal unheñ bhī taḌpā kar
qarār chhīn ke vo bhī qarār ko tarse
vo sāmne the magar chashm-e-shauq uTh na sakī
dam-e-visāl bhī dīdār-e-yār ko tarse
tamām zindagī guzrī thī aish se jin kī
vo bād-e-marg charāġh-e-mazār ko tarse
bas ik nazar unheñ dekhā to ye sazā paa.ī
ki umr bhar ke liye ham qarār ko tarse
kiyā na vasl kā va.ada bhī us sitamgar ne
tamām umr shab-e-intizār ko tarse
kuchh aisī be-ḳhudī chhā.ī thī ġham kī ai 'sāhir'
ki ham sharāb bhī pī kar ḳhumār ko tarse
tere baghair sukun-o-qarar ko tarse
bahaar mein bhi hum apni bahaar ko tarse
mila na chain kisi kal unhen bhi taDpa kar
qarar chhin ke wo bhi qarar ko tarse
wo samne the magar chashm-e-shauq uTh na saki
dam-e-visal bhi didar-e-yar ko tarse
tamam zindagi guzri thi aish se jin ki
wo baad-e-marg charagh-e-mazar ko tarse
bas ek nazar unhen dekha to ye saza pai
ki umr bhar ke liye hum qarar ko tarse
kiya na wasl ka wada bhi us sitamgar ne
tamam umr shab-e-intizar ko tarse
kuchh aisi be-KHudi chhai thi gham ki ai 'sahir'
ki hum sharab bhi pi kar KHumar ko tarse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.