tere banae ko bar-e-digar banate hue
tire banā.e ko bār-e-digar banāte hue
maiñ thak gayā huuñ darīchoñ ko dar banāte hue
tujhe ḳhabar nahīñ guzre kis imtihān se ham
tirī shabīh tujhe dekh kar banāte hue
pas-e-hayāt dikhāte ho ik na.ī duniyā
lagegī der idhar ko udhar banāte hue
kabhī zamīn pe kitnī zamīn hotī thī
vo sochtā hai samundar meñ ghar banāte hue
ai dar-e-ḳhām zarā dekh kaisī pathrā.ī
mirī nigāh tujhe beshtar banāte hue
zamīn chiir ga.ī āsmāñ pe haavī huī
ye merī aañkh nazar ko nazar banāte hue
mukālme meñ zabāñ laḌkhaḌāne lagtī hai
pa-e-daroġh agar ko magar banāte hue
ḳhudā ke but pe ye qasdan nahīñ mirā chehra
bahak gayā thā zarā haath sar banāte hue
vo naqsh-gar thā parindoñ kā aur phir ik din
havā nashīn huā bāl-o-par banāte hue
tere banae ko bar-e-digar banate hue
main thak gaya hun darichon ko dar banate hue
tujhe KHabar nahin guzre kis imtihan se hum
teri shabih tujhe dekh kar banate hue
pas-e-hayat dikhate ho ek nai duniya
lagegi der idhar ko udhar banate hue
kabhi zamin pe kitni zamin hoti thi
wo sochta hai samundar mein ghar banate hue
ai dar-e-KHam zara dekh kaisi pathrai
meri nigah tujhe beshtar banate hue
zamin chir gai aasman pe hawi hui
ye meri aankh nazar ko nazar banate hue
mukalme mein zaban laDkhaDane lagti hai
pa-e-darogh agar ko magar banate hue
KHuda ke but pe ye qasdan nahin mera chehra
bahak gaya tha zara hath sar banate hue
wo naqsh-gar tha parindon ka aur phir ek din
hawa nashin hua baal-o-par banate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.