tere bichhaDne ka dukh apne KHandan ka dukh
tire bichhaḌne kā dukh apne ḳhāndān kā dukh
hamārī zaat ko hai saare kārvān kā dukh
huzūr aap ko to 'ilm hai haqīqat kā
huzūr aap to sunte the be-zabān kā dukh
ḳhamosh baiTh ke ik dūsre ko sunte haiñ
za'īf peḌ samajhtā hai naujavān kā dukh
safar tavīl hai aur zād-e-rāh bhī kam hai
lagā huā hai mujhe nam-zada makān kā dukh
safar meñ tū hai magar paañv thak rahe haiñ mire
thakā rahā hai mujhe yuuñ tirī thakān kā dukh
kanīz-e-ḳhās banā dī ga.ī thī shahzādī
use diyā bhī gayā to usī kī shaan kā dukh
ġharīb ke liye to dukh hī dukh haiñ duniyā meñ
kabhī makān kā dukh hai kabhī dukān kā dukh
nahīñ hai kuchh bhī yahāñ is hisār se bāhar
kahīñ ḳhamoshī kā ġham hai kahīñ bayān kā dukh
tere bichhaDne ka dukh apne KHandan ka dukh
hamari zat ko hai sare karwan ka dukh
huzur aap ko to 'ilm hai haqiqat ka
huzur aap to sunte the be-zaban ka dukh
KHamosh baiTh ke ek dusre ko sunte hain
za'if peD samajhta hai naujawan ka dukh
safar tawil hai aur zad-e-rah bhi kam hai
laga hua hai mujhe nam-zada makan ka dukh
safar mein tu hai magar panw thak rahe hain mere
thaka raha hai mujhe yun teri thakan ka dukh
kaniz-e-KHas bana di gai thi shahzadi
use diya bhi gaya to usi ki shan ka dukh
gharib ke liye to dukh hi dukh hain duniya mein
kabhi makan ka dukh hai kabhi dukan ka dukh
nahin hai kuchh bhi yahan is hisar se bahar
kahin KHamoshi ka gham hai kahin bayan ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.